Kya aap aksar apne qareebi logon se jhagadte hai, ur baad me pachtate hai ki gusse me kya kuch nahi bol gaye.

Niche kuch tips diye gaye hai jo aapko gusse mein kaise baat karein woh batayenge. Taaki issue zyada bada na ho jaye.

Hum ise ek real life example se samajhne ki koshish karte hain.

Maan li liye ki kahi jane ke liye aap kisi ka intezaar kar rahe hai, lekin use aane me deri ho rahi hai. Aur aapko gussa aane laga hai. Toh jo natija niklega wo aap kis tarah se baat karenge us par nirbhar karta hai.

Situation A

Aap : Kya? tum phir se late hone wale ho ? Tum hamesha yahi karte, Kabhi time par nahi aate. Tum sirf ek gair zimmedar aur aalsi insan ho.

Dostn : Tumne mujhe aalsi aur gair zimmedar kaha ?? Bol toh aise rahi ho jaise ki khud kabhi late nahi hui. Tumhe to bas aadat hai shikhayat karne ki!!  Main traffic me phasa hu isliye der ho rahi hai.

Aap : Kya kaha tumne ??? Mujhe shikhayat karne ki aadat hai ? khud late ho aur mujhe suna rahe ho. 

Dost : Bas kardo ab tum!

(Is behes ke baad aap dono puri shaam ek dsure se baat nahi karte, halan ke saath ghumna chahte the)

 

Situation B 

Aap : Hume der ho rahi hai, mujhe bahot gussa aa raha hai, tum jante ho mujhe late hona pasand nahi hai.

Dost : Sorry, thode traffic me phasa hu. main bas abhi aya.

Aap : thik hai, main intezaar kar rahi hu.

(ab aap dono saath me shaam ko enjoy karte hai)

 

In dono halaat me aapne apna gussa jataya lekin, natije alag nikle, sirf isliye kyunki aapka gussa jatane ka tareeka alag tha.

Kya kehna chahiye :

  • Dusre par sara ilzam na dalein
  • Bure naam jaise ki ‘aalsi’ na use karein
  • Sirf abhi ki galati par focus karein, “tum hamesha yeh karte ho” is tarah ki baatein na karein

Kya nahi kehna chahiye :

  • Aap ke emotions ko batane ki koshish ki jiye, jaise “mujhe gussa aa raha hai’ ya ” mujhe bura lag raha hai”
  • Sentence ko “tum” ke jagah “main” se start ki jiye, taaki aisa na lage ki aap unhe blame kar rahe hai.
  • Sari purani galatiyo ko na ka list ginana na shuru karein.

Agar aap yeh tips ko yaad rakhein, toh gusse bhi apni baat manwa sakte hai. Aur samne wala apne galati ko bhi maan lega.


Leave a Reply

Your email address will not be published.